Thursday, July 7, 2011

Zindagi...

Kai saalon ki ye meri zindagi
jiya bas kuch hi pal kyun hai
poochta hai mera wajood mere attet se
itni udasi teri tanhai mein chipi kyun hai


Kuch bhaari is zindagi mein kuch hi halke pal kyun hai
jaane kya khalish is zindagi mein thehri si hui hai


kya hai wo dard jo dil mein chupa sa hai
jaate hue kyun ankhon mein tham sa jaata hai
beh jaane ki chahat mein kuch rootha sa hua hai
khud hi ko manane mein itni berukhi si kyun hai


Kuch bhaari is zindagi mein kuch hi halke pal kyun hai
jaane kya shool in ankhon mein phansi si hui hai


kabhi tha karwan mera bhi is zahan mein
aaj aks hi baaki hai waqt ke paydan mein
kuch namo-nishan na raha bachapan ke un bageechon ka
phir bhi sehar mein dhoomil sa nishan dhoondte kyun hai


Kuch bhaari is zindagi mein kuch hi halke pal kyun hai
jaane kya khumari us khamoshi mein chaai si hui hai


*********
Sehar:Awakening/Dawn(Dawn here)
khalish: unresting, troubling sensation
dhoomil:dull, lacking brightness
khumari:hangover

No comments:

Post a Comment