Saturday, January 29, 2011

Hasrat

manzil paar jane ki khwahison ko apne seene mein jeeta hoon
kuch aage kadam isi soch mein,himmat badhakar aaj nikla hoon
nadan tha jo apni hasraton ko samet mein  jeeta tha
aaj tod ke apni ye neend manzil taraf kadam bhada raha hoon


manzil ka mera koi thikana to nahi,
par nayi rahon ke, har pal ko sene mein jiyunga,
hasraton ki khawhishon ko,naye khwabon ka,aaj naya aasman dunga



rang ko hatheli mein le mein apni tamannaon ko uker raha hoon
berang si taqdiron mein, naye jeevan ki chah saja raha hoon
naadan tha jo ab tak kale-safed pannon mein jeeta tha
aaj rangon ki syahi se nayi soch bana raha hoon



rang har savere ka har din ek sa to nahi,
par nayi soch ki subah ko, ankhon se sekunga,
hasraton ki indradhanush ko, naye rang ka,aaj naya aasman dunga


har samay har pal naya kirdar mein jeeta hoon
jitne hain log jindagi mein,utne hi abhinay mein karta hoon
nadan tha jo logon ki taliyon ki chahat mein jeeta tha
aaj jhooth ka parda gira, khud ka kirdar nibha raha hoon



har parde ke peeche khushi ki khidki to nahi,
par nayi kal ki chah mein, kuch andhere seh jaunga,
hasraton ki dhoop ko, naye savere ka, aaj naya aasman de jaunga