Sunday, March 23, 2014

Pyaar Kishton Mein ...

Aaj yun hi baithe baithe khayal aaya ki kaash koi aisa bank ho, jahan pyar udhhar pe milta to kitna acha hota.
Badle mein hame use jyada byaaj dar mein pyaar lautana padta.Kishton mein saara jeevan pyaar chukate rehte.
Saamne waala bhi khush ,hum bhi khush.Kyun sach nahi keh raha hoon ?

Phir laga kisi bank jaane ki jaroorat kyun pade,ye khajana to mere aas paas hi hai.Itne dost hain, pariwar wale hain aur kya chahiye.
Is pyaar ke loan ka chunaav ka vishaya bhi, Paise walon banks ki tarah hai, aapke paas bahut saare option honge par aap sabhi se to udhaar nahi lete na.
Zindagi mein pyar ka udhaar bhi aisa hi hai, iske kishton ki koi samay seema nahi hoti,ye to saari umra chalta hai.
Isiliye soch samjh ke lena jaroori hai ,kyunki zindagi bhar aur shayad uske baad bhi ye udhaar nahi chukta.
Chaliye is tathya pe thoda aur prakash daalein.

Agar bank ya kisi se paise udhar lete hain to wahan pe bahut guna-bhaag karke kishton ki bhasha ko kathintam(complex) tareeke se saja ke parosa jaata hai.Par pyar lautane ka tareeka kya aasan hoga ? kuch log kahenge haan , bas jindagi bhar us insaan se sath to nibhana hai.Par kya hum wakai us pyaar ko kai guna karke lauta paate hain?.
Hum log bus us udhaar ko bhadate rehna chahte hain.Samne wala bas hame pyaar deta rahe tabhi tak hum uska loan chukane ya yun kahein ki tabhi tak use pyaar denge.Kyun sahi kaha na?

Chaliye ek udahran lete hain. Log kehte hain maa- baap ka santaan ke prati jo pyaar hai uska koi tulna nahi hai.
Maa baap poora samay , bachon pe pyaar lutate rehte hain.Poori koshish karte hain ki achi siksha ,aaram daayak zindagi de sakein.Aur is koshish mein kaafi had tak apni yogyta anusaar safal bhi hote hai aur jyadatar usse kahin jyada karte hain.
Par badle mein kitne Shravan kumar se hum mile hain.Kya "mein" wo Sharava kumar hoon? kyaa "Aap" wo shravan kumar ho?
Naukri ke liye  ya kisi na kisi bahane/zaroortaon ke naam pe hum wo pyaar ka ghonsla chod dete hain.
Jab unhe vridhavyastha (old age) mein hamari sabse jyada jaroorat padti hai to bhavishya acha karne ki chah mein hum apne Vartmaan se samjhauta aur beete hue kal se aankhe moond lete hain.
Chaliye ab pati patni ka udahran lete hain.Sab kuch baant-te(share) hain. Dukh ,dard, bistar yahan tak ki vishwaas aur pyaar bhi.Kya rishton se bahar jaake hum uski maryada ko nahi toda?. Mein yahan sirf sharirik(physical) rishton ya paison se sambhandhit cheezon ki baat nahi kar raha hoon.Kahin dil ki gehrai mein kabhi humne kisi aur ke baare mein ya kisi aur tareeke se unka bura bhi socha?
Agar socha to kya ye dokha dena nahi hai us vishwaas se.Hum kahenge ye manav(human) fitrat hai aur ek tareeke se sahi bhi hai.To phir samaaj ke naam pe itna dikhava kyun?Ye kasmein(promises) kyun khana ki tan aur man se bas tumhara vichaar karunga jabki isme lesh matra (little bit) bhi sanshay(doubt) nahi ki hum doosron ke baare mein nakaratmak tareekon se kabhi na kabhi sochte hain.
Maine ek baat kahi thi ki zindagi ke baad bhi ye udhaar chalta rehta hai , iska ek udahran shayad hamare puranon mein Pitra rin (forefather's debt) ke zikr
ke taur pe milta hai.
Hum saari umra unke rini (indebted) rehte hain kyunki hamare purwajon ki wajah se hum yahan hain aur hume isiliye unka samman karne ki batein batayi gayi hain.
Ye pyaar ko samjhana ya samajhna dono hi kathin hai.Jaise ki Vishnu bhagwan ke do avataar (Krishna aur Ram) dono ne hume pyaar sikhaya hai par tareeke alag hain.Kyunki ye ek bhavna hai jo ki hriday(heart) se judi hai.Dono ke tareekon mein ek baat thi imaandaari aur nishtha.Jo ki har sache pyaar ke udharanon (examples) mein milti hai.
 To bas inhi sidhanton  ko, payar ka udhaar lete hue dhyaan rakhiyega.

Bank se jab paise udhaar lete hain to imaandaari se chukana padta hai nahi to defaulter ho sakte hain aur credit rating gir jaati ha.Par pyaar ke bank mein aap beimaani kar sakte hain ,koi kuch kahega nahi kyunki likha padhi to isme hoti nahi.
Par yahan default karte hain to aap ki ahmiyat apki nazron mein kam ho jayegi aur isi jeevan mein koi na koi apko bhi default karega , ye bhi jeevan ka ek katu satya hai.
Isiliye mere doston pyaar ka loan soch samajh ke lena aur lena to defaulter na bano ,iska khyal jaroor rakhan,na sirf kisi aur ke liye par apne liye bhi