Wednesday, July 27, 2011

kuch zindagi ka nasha lene do

neele aasman ki chaon mein, mujhe kuch likhne do
udte badlon ka aks, kagaz me ukerne do
chahat itni si khwabon mein sawari hai
ugte sooraj ko ek nazar ankhon mein bhar lene do


us dheemi aanch ki tapan ka nasha pee lene do
kuch zindagi ka nasha mujhe le lene do

aate pyar ko ikraar mein badalne do
bhadte kadmon ko, thodi door sath chalne do
mohabbat jaane kab se ankhon mein basai hai
un ankhon ko apne labzon mein badalne do


us behte pyar ke sailab ka nasha pee lene  do
kuch zindagi ka nasha mujhe le lene do


kampte kadmon ko, apne himaat ka sahara do
apne masoom sapno ko haqeeqat ka ashwashan do
khushi ke armaan jaane kab se aas lagaye hai
khwabon ke anchal se ab unhe udd lene do


us unmukt aasman ke pyale se nasha pee lene do
kuch zindagi ka nasha mujhe le lene do

No comments:

Post a Comment