Monday, May 2, 2011

Ankahi daastan


Mumbai: Jab bhi jehan mein ye naam yaad aata hai to yad aati hai yahan ki Bheed....Lakhon karoron log... lagta hai raftaar ka doosra naam mumbai hai...
dil ki dhadkan se bhi tej yahan har basne wale bandon ki raftaar hai.Par in sab ke beech ek meri daastan hai jo kuch pal is bheed mein sukoon ke pal de gayi
thi....
Roj subah Andheri station, subah 8:33 ki local ,  platform no.2 se Churchgate ke liye jati hai.India mein shayad hi kahin 8:33 matlab "8:33" hota hai.Khair 1
saal se wahi Ist class ka dibba , wahi log , wahi darwaje ke paas meri jagah, shayad logon ki jagah bhi, bin bole sabko pata hai.Sabko chehre se janta hoon,
baat karne ki fursat kam hi hai par phir bhi dheere dheere ye saare log apne sa lagne lage.
Aaj late ho gaya tha, bhag ke train pakadni padegi ,tabhi bhagte bhagte ek aadmi se takra gayaa, chillate hue bola "Abe andha hai..." bolte bolte chup ho
gaya, "Maaf karna dost meri galti hai". Wo bola" Koi baat nahi , aksar hum andhon ke sath aisa ho jata hai.Ho sake to kya mujhe 3rd number platform pe chod doge beta". Socha chodo ,par andar basa insaan kahan maane wala tha.Socha aaj gayii train aur meeting.Khair unko choda aashirwad liya aur jab tak 2 no. platform pe aaya tab tak 8:33 ki local phurr  ho gayi thi. Khoob kosa kismat ko, tabhi kisi ne peeche se aawaz di
Wo:Suniye
Mein: Ji
Wo: Aaj apne jo kiya bada acha kaam kiya, to socha apko hello bol doon.
Gazab si kasish thi un ankhon mein, Aawaz bhi utni hi madhur thi.Suna tha aawaz chaashni si hoti hai, hansta tha tab, par aaj mehsoos bhi kiya.Pata nahi kyun shor mein bhi apni tej daudti dhadkan ko sun sakta tha.
Mein: Ji wo to bas aise hi.
beech main hi unhaone baat kat-te hue kahai
Wo: Ji maaf kijiye meri train aa gayi
8:36 ki local aur wo ladies dabbe ke 1st class ki taraf rawana ho gayi...Mein bhi apne dabbe ki taraf chal pada.
************************
" Na naam na pata phir bhi wo kuch apna sa lage
jaane kyun wo ajnabi mere dil ko chu se gaye"

************************
Office mein bhi kaam mein man na laaga , jane kya baat thi unme, ki bas unki soch mein dooba raha poore samay.Itni ladkiyon se mila par aisa pehle kabhi
baichaini si nahi hui.Socha chalo kismat pe chodte hain ki baat aage badhegi ki nahi.
Agli subah 8:36 ki local pakdi, bahut dhoonda par wo dikhi nahi.Achanak piche se aawaj ayi"Hi...mujhe dhoond rahe ho" , ek pal ko mein sakpaka gay.Wo hasne lagi . boli Sorry mein mazak kar rahi thi,aap to sach much dar gaye. Us sharati hansi mein mano sab kuch bhool jaun, aisi baat thi, samajh nahi paya ki kya kahoon, kya karoon. Kuch kahan unse maine, par yad nahi kya ,aisa lag raha tha mano mein shoonya mein hoon, besudh sa. Wo boli chalo train aa gayi mein chalti hoon, Bye.
Phir agle teen din tak wo nahi dikhi, socha wo ek paheli ki tarah ayi aur aise hi chali gayi.Khair lambhi saan li aur socha ye bas ek acha khwab tha jisse
jaagne ka samaya aa gaya.
Apne dabbe mein chada hi tha ki dekha meri roj ki jagah wo khadi hain,tabhi dabbe mein kisi ki ring tone baji "itni shiddat se maine tumhe paane ki koshish
ki hai ki har zarre ne mujhe tumse milane ki koshish ki hai....kehte hai agar kisi cheez ko dil se chaaho toh poori kaynath tumhein usse milane ki koshish
mein lag jaati hai", mein hansa aur socha shayad upar wale ka paigam hai mere liye.
Anayas hi mere muh se nikal gaya"Kahan thi aap teen din se".Wo ekdum se ghoorne lagi, "Mera matlab hai aap dikhi nahi isilie bas...sorry"
Wo boli " Koi baat nahi, meri bas tabiyat kharab thi. so I was on leave aur ladies dabbe mein kafi bheed thi so isme chad gayi".
By the way mera naam Manav hai , mein ABC company mein kaam karta hoon.
"Nisha , mein XYZ mein kaam karti hoon"
Mein:Are wo to meri hi building mein hai!!
Wo:Umeed karti hoon aap ache insaan hai , aur mujhe tang nahi karenge.
Itni bherukhi , itna ghamand , dimaag ghoom gaya ek dum se.phir mein poore raste chup hi raha , socha kaun baat kare itna bhav kha rahi hai.Us din kaam mein bhi man nahi laga.Wo ek ajnabi hi to hai, phir kyun uske liye itna sochu, par itna aasan bhi to nahi bhulana.
Agle din jaise hi mein dabbe mein chada , aawaz ayi " Sorry kal mera thoda mood upset tha"
Mein: Are nahi koi baat nahi , galti meri hi thii.
Ye dialouge shayad saare ladke marte hai,Ant mein galti ladke ki hi hoti hai,ye ab yakeen ho chala.
Kehta hain life mein bus, train aur ladki ke peeche kabhi nahi bhagan chahiye, bus ka to pata nahi train aur ladki ke peeche bhagne ka apna maza hai.
Bat dheere dheere baddhi, pata chal unka nam Nisha nahi Ritika hai, ye ladkiya pehle pehle  naam poochne par jhooth kyun bolti hain, pata nahi.
Ek din roj ki tarah train mein baat kar rahe the , tabhi Dadar pe bheed aa gayi,50 -60 se kam log nahi chade the, train ko "Sehar" kahun to wo ati-shayokti nahi hogi.
Unko bachane ke liye mein unko darwaje ke paas ki railing pe unko aage karke , unko cover kar liya par bheed itni thi kina chate hue bhi mein unke behad karreb tha. Ajeeb sa ehsaas tha, mein un sanson ko sun sakta tha,us khusboo ko mehsoos kar sakta tha.Jane kaise madhoshi si cha gayi thi.Un palon ki khamoshiyon ko samjhne ki kosish si kar raha tha. Jane kya asar tha.Wo bhi khamosh se ankhe band kiya hue the. Hawa ke jhonkon  jab unki zulfon se hote hue mere chehre pe pad rahi thi tab ek pal ke liye zindagi mein aisa laga mano wahi hai, bas wahi hai.....
Shayad...shayad pyar ka ehsaas tha
phir kuch din aise hi beet gaye.
4 din baad
Us samay unki anken thaki si thi, laal si thi, aisa laga maon wo rat bhar soyi nahi thi.Himmat karkr poocha kya baat hai to wo bas ro padi, poora station
dekh raha tha, laga aaaj pitayi confirm hai.Kisi tarah unhe smabhala , pani diya , phir wo shant hui.Poore raste na wo kuch boli na hum.
Churchgate pe pahunche, baat shuru karne ke liya kaha"aaj mausam acha hain".Wo bas halki si muskurai.Mein unke muskurahat mein bhi dukh saaf dekh sakta tha.
Maine kahan chalo Marine drive pe baithte hain.Wo kuch nahi boli bas sath chal dii.
Kafi der tak aise hi baithe rahe , phir maine dubara poocha kya hua.
"Kehte hai batane se man halka ho jaat hai,janta hoon hum ek doosre ho itne ache se nahi jante ki aap humse apni sari baat share kar sakein, par shayad ek
ache dosti ki shuruat to kar sakte hain."
Ritika ekdum se bifar padi " Mujhe apki koi sahanubhuti nahi chahiye"
Mein: Janta hoon aap ko share ki jaroorat nahi ,mein to bas sath dene ki baat kar raha tha.
Ritika halke se muskura uthi " Filmi dialougue maar rahe ho"
Mein:Sahi, matlab apne bhi Tum Bin dekhi hai.
Ritika: Thnx, apke sath acha laga.Par agar hum is baare mein abhi baat na karein to chalega.
Mein: Koi gal nahi kudiye.Chalo yahin paas mein Ice Cream achi milti hai, chalein ?
Chalte chalte yahi soch raha tha ki,Sach mein ladkiyon ke mood ka koi bharosa nahi.
Mahina beet gaya, socha agar Salary achi ho gai to unhe Propose karunga yahi sochke ache se Interview ki tyari ki aur finally ek MNC mein achi job mil gayi.
Sham ko offfice se nikala, unhe Marine drive pe milne ke liye kaha.
Bahut hi suhani thi wo sham, laga mano us khuda ne mere liye hi aaj aasman ko sajaya hai.Tabhi wo dikhi,aasman bhi unse nazrein chura lein ,itni khoobsoorat thi wo.
Thodi der ke liye mere muh se kuch na nikala.Dhyan se dekha unhe,kuch ajeeb sa shikan tha unke chere ,pata nahi wo khush thi ya dukhi.
Kya baat hai madam aaj to bahut sundar lag rahi hain.
Ritika-" Tum batao kyun bulaya?"
Mein: Bas ek choti si khushkhabri hai, nayi job mili hai , Manager position hai  aur salary bhi achi hai"
Ritika-"Ye to bahut achi baat hai"
Mein-"Kya hua tum kuch pareshan si ho.
Ritika: Mujhe ek baat kehni hai.
Mein: Kaho
Ritika-" yad hai us din mein ro rahi thi?"
Maine tumse ek baat chupai hai.
Meri shadi ko 3 saal ho gaye hain, shadi ke 6 mahine baad hi mer pati ek doosri aurat ke chakkar mein mujhe chod ke chale gaye, us din socha atma-hatya kar 
loon par pata chala, mein preganant hoon.Bahut koshish ki unhe rokne ki par wo na ruke. Saas sasur ache hain, bahu ki tarah nahi beti ki
tarah rakha mujhe, unke samjahane par bhi wo na ruke.Mein bas jee rahi thi to apne beti ke liye.Aaj 3 saal bad wo wapas aye, keh rahe teh ki wo ladki unhe
dhoka deke kisi aur jyada paise wale admi ke paas chali gayi.Mere paas wapas aana chate the, beti ka wasta de rahe the.
Maine kaha " Us samay kahan the jab mein apko
bache ka wasta deke rok rahi thi". Wo bahut mafi mangne lage, saas sasur bhi mujhe samjhane lage.
Maine kuch samay manga hain sabse. Sochti hoon kyun maaf karun, phir socha apni beti ko ek pita ka saaya mil jayega.
Ab tum hi batao mein kya karun?

Kuch pal to mujhe kuch samajh nahi aya, phir poocha kya tumuse maaf kar paogi, usse wahi pyar kar paogi, phir se use wo respect de paogi.
Wo kuch nahi boli.
Zindagi tumhari hai aur tumhe hi ye faisla lena hai kya sahi hai kya galat.

Maine kaha(pata nahi kaise par keh diya) " mein batein ghuma phira ke nahi keh sakta, ritika mein bhi apse pyar karta hoon, janta hoon ye sunke shayad apko acha na lage , kyunki samaj iski izazat nahi deta, maine apse pyar kiya apko ache se jaan ke , abhi bhi apke ateet ke baare mein janke mere dil mein apki izzat aur bhad gayi hai.
Mein apse shadi karna chata hoon, agar apko aitraaz na ho"
Wo ekdum se chup ho gayi,kafi der tak kuch na boli.
Maine kaha agar apko lagta hai , mere baat mein sacchai hai aur mein apke kaabil hoon, to mujhe apka kal sham ko yahin intezar karunga, aap ayegi to mujhe lagega apki haan hai, nahi to apki khushi mein hi meri khushi hai, sabse pehle aap meri achi dost hain. apke har faisle pe mujhe khushi hi hogi.
Kehke mein chala gaya. Agle din sham ko mein wahan khada raha, 3 ghante beet gaye, 7 baje wo ayi, meri khushi ka to kuch thikana na raha.Socha ant mein sache
pyar ki jeet hoti hi hai.
Maine jaise hi kuch kehna chaha, unhone rok diya
"Mein yahan isliye nahi ayi hoon taki apko kuch keh sakoon. Aap ache insaan hai, mujhe pasand bhi hain, par mere liye abhi mera pariwar, meri beti mujhse
jyada, meri zindagi mein mayne rakhte hain.Maaf karna shayad ye zindagi apke sath na bita paun."
Kehte kehte unke aankh se ansu aa gaye. Tabhi baarish chalu ho gayi, pata nahi aankh se mere ansu nikal rahe the ya wo baarish ka paani tha , jo bhi tha
shayad uparwale ne mujhe unke samne rote hue dikhne se bacha liya.
kuch nahi bola, bas ek doosre ko kuch der yun hi door se dekhte rahe, phir wo palti aur chali gayi.Mein bas unhe jate hue dekh raha tha.
Bas wahi baarish mein khada raha, sar jhukaye, phir pairon ki takat chali gayi aur wahi ghutnon pe baith ke , sar jhukaye baarish mein yun hi baitha raha.
************************
jaane kyun dard mein chupi tanhai hai
dil mein baichani aur ankon mein ansu samai hai
kuch daastan meri ankahi si hai
manzil se pehle hi raste mein thokar khai hai

***********************
Mumbai mein zindagi kabhi nahi thamti, kuch din baad nayi naukri ke liye andheri station pe pahuncha, gaadi Platform no 1 se pakadni thi, 2nd number platform
to peeche choot gaya tha.
Tabhi kisi ki ring tone baji
"kehte hai ki filmon ki tarah hamari zindagi mein bhi end tak sab theek hee ho jaata hai..happys endings...aur agar theek naa ho toh woh the end nahi,
picture abhi baaki hai mere dost..."
Mein bas halke se muskura diya.

Note:Its a fictional story,

4 comments:

  1. achcha like ho... emotions kaafi hai.
    could imagine the scene somebody crying in rain at Marine Drive.

    ReplyDelete
  2. AAte JAAte lamhe takra jate hain
    Kabhi khamosh Kabhi bataa jate hai
    ye zindagi ek safar hai
    Aana mere haath me nahi dost
    Jate hue Ahsaas kara jate hain
    ye mumbai mera ghar hai
    Har din ek sabak hai zindagi ka
    Jo hum yuhi bita jate hain
    Milte hain mumbai ki local me roj
    Dil se dil vo mila jate hain
    ye mumbai unka bhi ghar hai
    Aur ye sikha jaate hain
    Picture abhi baaki hai mere dost...

    Manas bhai chha gaye...great story! love it!!

    Abhi khatam nahi hua....

    Bhigi Bhigi barish me AAte hain,
    Ashk bahate hain, humko dilasa diye jaate hain,
    Mumbai ki local me jo sajaye the armaan kabhi,
    Unki chita apne hatho se jalaa jate hain..
    Ab lagta hai..
    Ye mumbai mera ghar nahi..
    Par dil ko koi shikva nahi Kyoki,

    Picture abhi baaki hai mere dost...

    Appreciate manas! keep it up..

    ReplyDelete
  3. Harshil: Mast poem likha hai..superlike :)
    Manish: Thanx,

    I know kahin kahin gap hai, koshish karunga agli bar acha likhne ki.
    Mujhe pata hai , tum dono acha likhte ho, apki rachnaon ke intezar mein..
    manas

    ReplyDelete
  4. Manas - Bahut achcha likha aapne..humein to lagga , puri rachna mein manav nahi manas hi tha !

    ReplyDelete