Wednesday, February 9, 2011

Wo aaj bhi koi geet gunguna jaati hai

Nazm hothon se nahi dil se kahi jati hai
Izhare ishq baton se nahi khamoshi se samjhi  jaati hai
Kuch mukhtsar se is pal mein zindagi poori jee jati hai
Saath kuch kadam chal kar janmaon ka faasla mita jaati hai
Wo aaj bhi koi geet gunguna jaati hai


Chand ki chatha chandni se javan hoti hai
Aaftab ki hasrat uski lalima bayan karti hai
Kabhi badlon mein chipkar unhe dekha karti hai
To kabhi prakhar tez se unhe roshan kiya karti hai
Wo aaj bhi koi geet gunguna jaati hai

Kuch to uns hain unki muskurahat mein
Kahin to massomiyat hain unki ankhaon ki shararat mein
Kabhi ashq hale dil suna  jaate hain
Kabhi gam kabhi khushi mein moti kuch jhara jaati hain
Wo aaj bhi koi geet gunguna jaati hai

Kabhi fool ban banbhanwar ko ras kuch pila jaati hain
To kabhi shama ban andhere mein rah dikha jaati hain
Kuch ansuljhi baton se meri uljhan suljha jati hain
To kabhio khwahish ban dil ko baichan kar jati hain
Wo aaj bhi koi geet gunguna jaati hai


Wo ibadat ban kabhi aawaz ban aati hai
Bagon mein rajnigandha ban saras mehka jaati hain
Kabhi yad ban ek muskurahat de jaati hain
To kabhi hansi mein til banke uski chata badha jati hai
Wo aaj bhi koi geet gunguna jaati hai


Beetein yadein aaj bhi mehfuz hai hasraton ke us ufaan mein
Sholon si tapti tammanon ko kuch thandak de jaati hain
Shayad un ansuaon mein kuch dua meri liye nikli hogi
Tabhi to bhujte  sanson ki dor mein ek aas si ban wo aati hain
Wo aaj bhi koi geet gunguna jaati hai

No comments:

Post a Comment